Monday, April 18, 2011

First Intercourse

(First Intercourse) 
    Humarey haan aksar yeh baat ma'aroof hai kay shaadi ki pehli raat mubashrat honi zaroori hai warna valima ja'ez na hoga haala'n kay Quran o sunnah ki roshni mein iss baat ki koi haqeeqat nahin humarey haan amooman nikah raat ko bohut late hota hai aur dulhan ko ghar pohonchtey pohonchtey raat kay do, dha'ee baj jatey hain iss doran donon thak kar chuur ho chukey hotey hain pehli raat donon thakawat, khauf, ghabraahat, nervousness aur hichkichahat ka shikar hota hai, khusoosan agar mian biwi pehley sey ek doosrey sey waqif na hun humarey haan aksar aisa hi hota hai larki apna ghar chor kar naey ghar aur naey logon mein aati hai usey khauf hota hai kay na janey susraal kay log kaisey hongey, khawand ka ravaiyya kaisa hoga. Doosri taraf larkey ko sex kay hawaley sey nakaami ka khauf hota hai kay aayah woh mubashrat kar sakey ga ya nahin larki ko bhi mubashrat ki takleef ka khauf hota hai iss khauf aur tashweesh ki wajah sey aurat ki faraj ka dahaana tung ho jata hai aur faraj kay ander chiknaahat ki kami ho jati hai, larka samajhta hai kay agar iss ney pehli raat mubashrat na kii to larki samjhey gi shayad mian iss qabil nahin haala'n kay jawani mein har mard jismani le'haz sey normal aur jinsi amal ka ahel hota hai albatta khauf aur zehni daba'u ki wajah sey ba'az auqaat tanau (erection) nahin hota ya aen moqa per khatam ho jata hai jo kay bilkul fitri amar hai kyun kay khauf aur zehni daba'u tanau kay dushman hain, le'haza iss surat e haal kay paesh e nazar pehli raat sex ko zyada ehmiat hasil nahin honi chahiyie chuna'ncha pehli raat mubashrat na karna donon kay liye mufeed hai.

Bachpan (Education)

  1. Bachpan (Childhood) 
        5,6 saal ki umer sey ley kar 12 saal tak (larkiyon kay liye) aur 14 saal tak (larkon kay liye) ka arsa bachpan kehlata hai. Iss daur mein bachon kay qadd aur wazen mein izafa hota rehta lekin baalak pan kay daur ki nisbat iss daur mein nashaunuma ki raftaar qadrey kam hoti hai. Bachpan kay daur kay aaghaz mein sehat mand bachey ka wazen 43 pound aur qadd 44 inch ho jata hai aur ikhtetaam per qadd taqreeban 5 feet ho jata hai aur wazen 95 ta 100 pound ho jata hai. Ibteda mein larkon ki nashaunuma ki raftaar larkiyon kay muqabley main taez hoti hai lekin 10 saal ki umar kay ba'ad larkiyon kay qadd aur 11 saal ki umer kay ba'ad unn kay wazen mein larkon ki nisbat zyada izafa honey lagta hai. Larkon ki harkaat aur unki jismani kaarkardagi larkiyon sey behter hoti hai. Larkey larkiyon sey taez aur tanumand hotey hain.
  2. Baloghat (Puberty)
        Baloghat (puberty) ka daur larkiyon kay liye larkon ki nisbat 2 saal pehley shuru ho jata hai yani larkiyon kay liye iski ibtidaa amooman 12 saal ki umer mein ho jati hai aur larkon mein 14 saal mein. Ba'az bachiyan 9 saal ki umer mein baaligh ho jati hain. Meien Bahawalpur kay ilaqey mein ek 10 saala maan dekhi. Garam ilaqo'n mein bachey jald jawan ho jatey hain. Isi tarah uryaani, beyhayaee aur fahashi kay mahol mein bhi bachey ek do saal pehley baaligh ho jatey hain. Isliye Europe aur America mein bachey ab nisbatan jald baligh ho jatey hain.

Women Conception About Men Penis


Jinsi Lutf Aur Aurat Ki Tasalli Kay Liye Lamba Zakar Zaroori Nahin
 Yeh khayal bhi aam hai kay bharpoor jinsi lutf, khushgawar azdawaji zindagi aur biwi ko mutma'en karney kay liye lambey zakar (penis) ki zaroorat hai. Haqeeqat yeh hai zyada jinsi lutf aur biwi ki tasalli ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin, kya lambi naak sey insaan ko zyada khushbuu aati hai ya kya barri aankhon sey zyada nazar aata hai. Aurat ko gosht nahin bul  kay ek mohabbat karney waley insaan ki zaroorat hai. Waisey mubashrat mein zakar ki lambaee kay bajaey uski sakhti zyada ahem hai aur chota zakar nisbatan zyada sakht hota hai. Yani iss mein zyada tanau (erection) hota hai. Mazeed aurat ki faraj ka size 3 ta 4 inch hota hai aur faraj ka sirf baerooni 1/3 hissa yani pehla 1 ta 1.5 inch hissa hi zyada hassas hota hai. Iss ka peechey wala hissa zyada hassas nahin hota. Hassas hissey tak 3 inch ka zakar bohu aasani sey pohonch jata hai. Mahireen ka khayal hai kay agar mard kay zakar ki lambaee 2 inch sey kuch zyada ho to yeh aurat ki faraj kay hassas hissey tak aasani sey pohonch jata hai jis sey aurat bharpoor lutfandoz hoti hai. (Kothari)

Women Conception About Men Penis

Dard Kay Baghaer Bachey ki Paeda'esh
Painless Delivery
    Shaadi kay ba'ad aurat ki sab sey bari khwahish yeh hoti hai kay woh jald maa'n baney ek taraf usey bachey ki shadeed khwahish hoti hai doosri taraf paeda'esh kay amal ka shadeed khauf. Agarcha amooman labor ka dard bohut takleef deh nahin hota magar iss dard ka khauf la'shaoori tor per nasal dar nasal muntaqil hota aa raha hai iss khauf ki wajah sey kuch khawateen haamla nahin hotiin aur bohut si haamla 9 mahiney isi khauf ka shikaar rehti hain jis ki wajah sey woh depression aur tashweesh mein mubtala ho jati hain. Inn mein sey bohut si khawateen ka blood pressure buland ho jata hai jis ki wajah sey hamal aur zichgi mein paecheedgiyan paeda ho jati hain hamal kay doran mein maa'n ki zehni kaifiyat bachey kay zehen aur nafsiyat ko bohut muta'assir karti hai. Isi liye kaha jata hai kay hamal kay doran main maa'n ko har fikr sey azaad ho kar hashaash bashaash aur khush o khurram rehna chahiyie lekin woh bohut si maa'ein jo hamal kay doran mein khauf ka shikar rehti hain unki yeh zehni kaifiyat unn kay bachon ki shakhsiyat ki normal nashaunuma mein bohut bari rukawat hoti hai jis ki wajah sey yeh bachey barey ho kar bohut sey nafsiyati masail ka shikar ho jatey hain.
    Taqreeban 50% aurtein hamal kay foran ba'ad matli mehsoos karti hain, ba'az ko ultiyan aaney lagti hain nateejatan unko hospital mein daakhil hona parta hai teen mein sey do khawateen ko seeney mein jalan mehsoos hoti hai ba'az khawateen ko qabz ki shikayat ho jati hai hamal kay doran bey khwabi ka masla bhi aam hai bohut si khawateen jismaani thakawat aur tension mehsoos karti hain inn tamam masail kay hal kay liye adviyat
Shaadi kay baad har larkey larki ki khwahish hoti hai kay woh jald az jald waledaen ban jaein unki khwahish to kam hoti hai magar azeez o aqarib khusoosan larkey larki kay waledaen ki khwahish zyada. Lekin humari tajweez hai kay pehley ek do saal bacha nahin hona chahiyie taa'kay dulha dulhan azdawaji zindagi kay sukoon aur lazzat sey khoob lutf andoz ho lein. Baqi sari umar bachey hi paeda karney hain iss kay elawa agar mian biwi mein nachaaqi ho jaey to alaehdgi mein aasani hogi na kay bachon ki wajah sey sari zindagi azaab mein guzrey, kyun kay mahireen ki ra'ey hai kay na khushgawar shaadi sey khushgawar alaehdgi behter hai bachey ki paedae'sh kay ba'ad aurat maa'n ban jati hai aur zyada tawajjuh bachey ko deti hai jab kay khawand ko ek biwi ki zaroorat hoti hai behter hai kay biwi ki umar 35 saal honay sey pehley khandan ko mukammal kar liya jaey iss umr kay bachey amooman sehatmand hotey hain. Mahireen ka khayal hai kay maa'n aur bachon ki achi sehat kay liye bachon ki paedae'sh mein kam az kam do/dha'ee saal ka waqfa hona chahiyie. Quran majeed sey bhi yehi ishara milta hai warna maa'n kay liye bachon ki achi parwarish karna mushkil ho jata hai. Dekha gaya hai kay agar bachey jaldi jaldi paeda hun to humarey haan ek aadh bacha nanhiyaal mein parwarish paata hai wahan ya to usko zaroorat sey zyada tawajjuh aur mohabbat milti hai ya phir poori tawajjuh aur mohabbat nahin milti donon surton mein bacha ba'az nafsiyati masail ka shikar ho jata hai.