Monday, April 18, 2011

Shaadi kay baad har larkey larki ki khwahish hoti hai kay woh jald az jald waledaen ban jaein unki khwahish to kam hoti hai magar azeez o aqarib khusoosan larkey larki kay waledaen ki khwahish zyada. Lekin humari tajweez hai kay pehley ek do saal bacha nahin hona chahiyie taa'kay dulha dulhan azdawaji zindagi kay sukoon aur lazzat sey khoob lutf andoz ho lein. Baqi sari umar bachey hi paeda karney hain iss kay elawa agar mian biwi mein nachaaqi ho jaey to alaehdgi mein aasani hogi na kay bachon ki wajah sey sari zindagi azaab mein guzrey, kyun kay mahireen ki ra'ey hai kay na khushgawar shaadi sey khushgawar alaehdgi behter hai bachey ki paedae'sh kay ba'ad aurat maa'n ban jati hai aur zyada tawajjuh bachey ko deti hai jab kay khawand ko ek biwi ki zaroorat hoti hai behter hai kay biwi ki umar 35 saal honay sey pehley khandan ko mukammal kar liya jaey iss umr kay bachey amooman sehatmand hotey hain. Mahireen ka khayal hai kay maa'n aur bachon ki achi sehat kay liye bachon ki paedae'sh mein kam az kam do/dha'ee saal ka waqfa hona chahiyie. Quran majeed sey bhi yehi ishara milta hai warna maa'n kay liye bachon ki achi parwarish karna mushkil ho jata hai. Dekha gaya hai kay agar bachey jaldi jaldi paeda hun to humarey haan ek aadh bacha nanhiyaal mein parwarish paata hai wahan ya to usko zaroorat sey zyada tawajjuh aur mohabbat milti hai ya phir poori tawajjuh aur mohabbat nahin milti donon surton mein bacha ba'az nafsiyati masail ka shikar ho jata hai.

No comments:

Post a Comment